Zindagi tu hi baata main kya karu.
Thodi khaasiii hai Thodi Udaasiiii hai
Ghar par thodi takraar hai
Ghar par Thoda pyaar hai
Kisko bukhaar hai
Aur koi roti se bhi laachaaar hai
Kya Daur hai Zindagi KA
Kahi bimaari hai
Aur kahi Bimaari KA Vyaapaar hai
Zindagi tu hi baata main kya karu
Tujhe gujaarnaaa bhi hai
Par ab laachaar hoon
Kahi Mehfile Saaj rahi hai, kahi Bazaaar hai
Kahi Maut KA manzaar hai,
Aur band ab to paagar hai.
Tanhaa reh gayiii Dosti apni
Tanhaa ho gayiii hai Galliyaan
Zindagi tu hi baata main kya karu
Tanhaaiii bachaane laagi hai
Aur Mehfileee ab maut KA dwaaar hai.
Zindagi tu hi baata main kya karu
Aaj tu hai mere saath Par kal pe sawaal hai.
Zindagi tu hi baata main kya karu
Chalo yahi soch kar jee leeteee hai zindagi
Ke kal KA Suraj
Aayegaaa naya saveraaa leke
Aur maar dega is ghootaaan Ko
Aur kahegaaa Aye bandeee
Tu ab jeene Ko taiyyar hai.
Zindagi tu hi baata ab main kya karu
Chalna hi zindagi hai Aur zindagi chalte hi jaa rahi hai
Rukna agar hota to saaseein ruk hi jaati
Shaayad jeena hi kismat mein hai
Isliye chalte hi jaa rahi hai.
Acche din aayengeee
Yahi soch KA jee rahe they
Par ab yakinaaan acche din hum laayengeee
Ye Vishwas hai
Zindagi tu ziddi hai
To hum bhi taiyaaar hai.
By Salim Karim Memon
Podchaser is the ultimate destination for podcast data, search, and discovery. Learn More